Mere Hisar Se Bahar Bula Raha Hai Mujhe

mere hisar se bahar bula raha hai mujhe

koi hasin sa manzar bula raha hai mujhe

jahan muqim tha main ek ajnabi ki tarah

wahi makan ab aksar bula raha hai mujhe

jo thak ke baiTh gaya hun main bich raste mein

to ab wo mil ka patthar bula raha hai mujhe

hua hai tishna-labi se muahida mera

abas hi roz samundar bula raha hai mujhe

bujha diye hain usi ne kai charagh mere

jo ek shama jala kar bula raha hai mujhe

wo jaanta hai main us ke sitam ka KHugar hun

so bar bar sitamgar bula raha hai mujhe

bula raha hai to khul kar kabhi bulae wo

bas ek ishaare se aksar bula raha hai mujhe

dayar-e-ghair mein rahta hun main magar 'alam'

har ek lamha mera ghar bula raha hai mujhe

(841) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Hisar Se Bahar Bula Raha Hai Mujhe In English By Famous Poet Alam Khursheed. Mere Hisar Se Bahar Bula Raha Hai Mujhe is written by Alam Khursheed. Read famous Poem Mere Hisar Se Bahar Bula Raha Hai Mujhe for youth and Student by Alam Khursheed. Free Download Mere Hisar Se Bahar Bula Raha Hai Mujhe in PDF.