Yaad Karte Ho Mujhe Suraj Nikal Jaane Ke Baad

yaad karte ho mujhe suraj nikal jaane ke baad

ek sitare ne ye puchha raat Dhal jaane ke baad

main zamin par hun to phir kyun dekhta hun aasman

ye KHayal aaya mujhe aksar phisal jaane ke baad

doston ke sath chalne mein bhi KHatre hain hazar

bhul jata hun hamesha main sambhal jaane ke baad

ab zara sa fasla rakh kar jalata hun charagh

tajraba ye hath aaya hath jal jaane ke baad

wahshat-e-dil ko hai sahra se baDi nisbat ajib

koi ghar lauTa nahin ghar se nikal jaane ke baad

(1946) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaad Karte Ho Mujhe Suraj Nikal Jaane Ke Baad In English By Famous Poet Alam Khursheed. Yaad Karte Ho Mujhe Suraj Nikal Jaane Ke Baad is written by Alam Khursheed. Read famous Poem Yaad Karte Ho Mujhe Suraj Nikal Jaane Ke Baad for youth and Student by Alam Khursheed. Free Download Yaad Karte Ho Mujhe Suraj Nikal Jaane Ke Baad in PDF.