Zara Si Dhup Zara Si Nami Ke Aane Se

zara si dhup zara si nami ke aane se

main ji uTha hun zara tazgi ke aane se

udas ho gae ek pal mein shadman chehre

mere labon pe zara si hansi ke aane se

dukhon ke yar bichhaDne lage hain ab mujh se

ye saneha bhi hua hai KHushi ke aane se

karaKHt hone lage hain bujhe hue lahje

mere mizaj mein shaistagi ke aane se

bahut sukun se rahte the hum andhere mein

fasad paida hua raushni ke aane se

yaqin hota nahin shahr-e-dil achanak yun

badal gaya hai kisi ajnabi ke aane se

main rote rote achanak hi hans paDa 'alam'

tamash-binon mein sanjidgi ke aane se

(945) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zara Si Dhup Zara Si Nami Ke Aane Se In English By Famous Poet Alam Khursheed. Zara Si Dhup Zara Si Nami Ke Aane Se is written by Alam Khursheed. Read famous Poem Zara Si Dhup Zara Si Nami Ke Aane Se for youth and Student by Alam Khursheed. Free Download Zara Si Dhup Zara Si Nami Ke Aane Se in PDF.