Meri Dastaras Mein Hai Gar Qalam Mujhe Husn-e-fikr-o-KHayal De

meri dastaras mein hai gar qalam mujhe husn-e-fikr-o-KHayal de

mujhe shahryar-e-suKHan bana aur enan-e-shahr-e-kamal de

meri shaKH-e-sher rahe hari de mere suKHan ko sanobari

meri jhil mein bhi kanwal khila meri gudDiyon ko bhi lal de

teri baKHshishon mein hai sarwari mere ishq ko de qalandari

jo uThe to dast-e-dua lage mujhe aisa dast-e-sawal de

rag-e-jaan mein jamne laga lahu use mushk banne ki aarzu

hai udas dasht-e-tatar-e-dil use phir shalang-e-ghazal de

koi baat aqrab-o-shams ki koi zikr-e-zohra-o-mushtari

tu baDa sitara-shanas hai mujhe koi achchhi si fal de

hain ye jism-o-jaan ki quyud kya KHad-o-KHal ke ye hudud kya

main hun aks-e-manzar-e-mawara mujhe aainon se nikal de

main wahi hun 'tishna'-e-ba-wafa mera aaj bhi wahi muddaa

na firaq de mujhe mustaqil na mujhe hamesha visal de

(1042) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Dastaras Mein Hai Gar Qalam Mujhe Husn-e-fikr-o-KHayal De In English By Famous Poet Alamtaab Tishna. Meri Dastaras Mein Hai Gar Qalam Mujhe Husn-e-fikr-o-KHayal De is written by Alamtaab Tishna. Read famous Poem Meri Dastaras Mein Hai Gar Qalam Mujhe Husn-e-fikr-o-KHayal De for youth and Student by Alamtaab Tishna. Free Download Meri Dastaras Mein Hai Gar Qalam Mujhe Husn-e-fikr-o-KHayal De in PDF.