Main Apni Jang Mein Tan-e-tanha Sharik Tha

main apni jang mein tan-e-tanha sharik tha

dushman ke sath sara zamana sharik tha

injir o shir banTta phirta hai shahr mein

kal tak jo meri nan-e-jawin ka sharik tha

mere KHilaf hai wo gawahi mein pesh pesh

mansuba-bandiyon mein jo mera sharik tha

mere qisas ka bhi hua hai wo muddai

jo mere qatl mein pas-e-parda sharik tha

kar-e-jahan mein bhi wahi mera sharik hai

dukh-dard mein jo lamha-ba-lamha sharik tha

kashti ke Dubne ka mujhe gham nahin magar

maujon ki saz-baz mein dariya sharik tha

had ho gai thi hum se mohabbat mein kufr ki

jaise KHuda-na-KHwasta wo la-sharik tha

'tishna' ye tujh ko sang-e-malamat usi ke hain

pindar-e-ishq mein jo ana ka sharik tha

(851) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Apni Jang Mein Tan-e-tanha Sharik Tha In English By Famous Poet Alamtaab Tishna. Main Apni Jang Mein Tan-e-tanha Sharik Tha is written by Alamtaab Tishna. Read famous Poem Main Apni Jang Mein Tan-e-tanha Sharik Tha for youth and Student by Alamtaab Tishna. Free Download Main Apni Jang Mein Tan-e-tanha Sharik Tha in PDF.