Ban Kar Lahu Yaqin Na Aae To Dekh Len

ban kar lahu yaqin na aae to dekh len

Tapki hain pa-e-KHwab se sahra ki wusaten

puchhe kabhi jo aabla pai ki dastan

dariya se kah bhi dete pa sahra se kya kahen

chalna hai sath sath rah-e-zist mein to aao

na-ashnaiyon ki qabaen utar den

jis ko chhupa ke dil mein samundar ne rakh liya

baadal ke munh se aao wahi dastan sunen

panw mein kitne taron ke kanTe chubho liye

is ek aarzu mein ki suraj se ja milen

chehron pe chun ke phaile the qaus-e-quzah ke rang

aao KHarid laen kahin se wo saaten

baadal ne aa ke rok diya warna ek din

ek aag pine wali thi jangal ki uljhanen

(720) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ban Kar Lahu Yaqin Na Aae To Dekh Len In English By Famous Poet Aleem Afsar. Ban Kar Lahu Yaqin Na Aae To Dekh Len is written by Aleem Afsar. Read famous Poem Ban Kar Lahu Yaqin Na Aae To Dekh Len for youth and Student by Aleem Afsar. Free Download Ban Kar Lahu Yaqin Na Aae To Dekh Len in PDF.