Karna PaDa Tha Jis Ke Liye Ye Safar Mujhe

karna paDa tha jis ke liye ye safar mujhe

wo mauj-e-shauq chhoD gai ret par mujhe

aadab-e-bazm ke siwa kuchh aur to na tha

mahfil mein us ne pan diye KHas kar mujhe

lauTa hun phir wo jism ki viraniyan liye

hasrat se dekhte hain ye diwar-o-dar mujhe

bazar ka to hosh hai lekin nahin ye yaad

kal raat kaun chhoD gaya mere ghar mujhe

aaankhon ka nur sine mein mahfuz kar liya

is shahr mein jo hona paDa be-basar mujhe

is ke siwa ye raaz bhala kaun jaanta

wo sab ko galiyon se nawaze magar mujhe

(598) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karna PaDa Tha Jis Ke Liye Ye Safar Mujhe In English By Famous Poet Aleem Afsar. Karna PaDa Tha Jis Ke Liye Ye Safar Mujhe is written by Aleem Afsar. Read famous Poem Karna PaDa Tha Jis Ke Liye Ye Safar Mujhe for youth and Student by Aleem Afsar. Free Download Karna PaDa Tha Jis Ke Liye Ye Safar Mujhe in PDF.