Na Puchh Rabt Hai Kya Uski Dastan Se Mujhe

na puchh rabt hai kya us ki dastan se mujhe

bichhaD gaya ki bichhaDna tha karwan se mujhe

mere badan mein koi bhar de barf ke TukDe

ki aanch aati hai raaton ko kahkashan se mujhe

kiraya-dar badalna to us ka shewa tha

nikal kar wo bahut KHush hua makan se mujhe

sadaen jism ki diwar par karti hain

koi pukar raha hai magar kahan se mujhe

khaDa khaDa yunhi sar par kahin na aan gire

laga hi rahta hai ye dar bhi aasman se mujhe

ab us ki bari hai to us se kaise munh moDun

kabhi to us ne bhi chaha tha jism-o-jaan se mujhe

mere iradon ko wo mujh se puchh kar 'afsar'

do-chaar kar gaya ek aur imtihan se mujhe

(701) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Puchh Rabt Hai Kya Uski Dastan Se Mujhe In English By Famous Poet Aleem Afsar. Na Puchh Rabt Hai Kya Uski Dastan Se Mujhe is written by Aleem Afsar. Read famous Poem Na Puchh Rabt Hai Kya Uski Dastan Se Mujhe for youth and Student by Aleem Afsar. Free Download Na Puchh Rabt Hai Kya Uski Dastan Se Mujhe in PDF.