Dil Ko Shaista-e-ehsas-e-tamanna Na Karen

dil ko shaista-e-ehsas-e-tamanna na karen

aap is andaz-e-nazar se mujhe dekha na karen

yak-ba-yak lutf o inayat ka irada na karen

aap yun apni jafaon ko tamasha na karen

un ko ye fikr hai ab tark-e-talluq kar ke

ki hum ab pursish-e-ahwal karen ya na karen

han mere haal pe hanste hain zamane wale

aap to waqif-e-haalat hain aisa na karen

un ki duz-dida-nigahi ka taqaza hai ki ab

hum kisi aur ko kya KHud ko bhi dekha na karen

wo talluq hai tere gham se ki allah allah

hum ko hasil ho KHushi bhi to gawara na karen

is mein poshida hai pindar-e-mohabbat ki shikast

aap mujh se bhi mere haal ko puchha na karen

na raha teri mohabbat se talluq na sahi

nisbat-e-gham se bhi kya KHud ko pukara na karen

main ki KHud apni wafaon pe KHajil hun 'aKHtar'

wo to lekin sitam o jaur se tauba na karen

(835) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ko Shaista-e-ehsas-e-tamanna Na Karen In English By Famous Poet Aleem Akhtar. Dil Ko Shaista-e-ehsas-e-tamanna Na Karen is written by Aleem Akhtar. Read famous Poem Dil Ko Shaista-e-ehsas-e-tamanna Na Karen for youth and Student by Aleem Akhtar. Free Download Dil Ko Shaista-e-ehsas-e-tamanna Na Karen in PDF.