Kisi Ke Wada-e-farda Par Etibar To Hai

kisi ke wada-e-farda par e'tibar to hai

tulu-e-subh-e-qayamat ka intizar to hai

meri jagah na rahi teri bazm mein lekin

teri zaban pe mera zikr-e-nagawar to hai

mata-e-dard ko dil se aziz rakhta hun

ki ye kisi ki mohabbat ki yaadgar to hai

ye aur baat ki iqrar kar saken na kabhi

meri wafa ka magar un ko e'tibar to hai

maqam-e-dil koi manzil na ban saka na sahi

teri nigah-e-mohabbat ki rahguzar to hai

wo zauq-e-did na shauq-e-nazara ab lekin

meri nazar ko abhi un ka intizar to hai

agar nigah-e-karam shewa ab nahin na sahi

meri taraf abhi chashm-e-sitam-shiar to hai

ye aur baat nasib-e-nazar nahin lekin

nafas nafas tere jalwon se ham-kanar to hai

zamana sath nahin de raha to kya 'aKHtar'

abhi jilau mein mere baKHt-e-sazgar to hai

(762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ke Wada-e-farda Par Etibar To Hai In English By Famous Poet Aleem Akhtar. Kisi Ke Wada-e-farda Par Etibar To Hai is written by Aleem Akhtar. Read famous Poem Kisi Ke Wada-e-farda Par Etibar To Hai for youth and Student by Aleem Akhtar. Free Download Kisi Ke Wada-e-farda Par Etibar To Hai in PDF.