Mohabbat Ka Rag-o-pai Mein Meri Ruh-e-rawan Hona

mohabbat ka rag-o-pai mein meri ruh-e-rawan hona

mubarak har nafas ko ek hayat-e-jawedan hona

hamare dil ko aae kis tarah phir shadman hona

teri nazron ne sikha hi nahin jab mehrban hona

tere kuche mein hona us pe tera aastan hona

mubarak tere kuche ki zamin ko aasman hona

ye haalat hai ki bedari bhi hai ek KHwab ka aalam

maaz-allah apna KHugar-e-KHwab-e-giran hona

use KHush kar sakengi kya bahaaren zindagani ki

chaman mein jis ne dekha ho bahaaron ka KHizan hona

jo bad-qismat tere gham ki masarrat se hain na-waqif

wo kya jaanen kise kahte hain dil ka shadman hona

mujhe aankhen dikhaegi bhala kya gardish-e-dauran

meri nazron ne dekha hai tera na-mehrban hona

jabin o aastan ke darmiyan sajde hon kyun hail

jabin ko ho mayassar kash jazb-e-astan hona

hawas-karan-e-ishrat aah kya samjhenge ai 'aKHtar'

bahut dushwar hai zauq-e-alam ka raaz-dan hona

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Ka Rag-o-pai Mein Meri Ruh-e-rawan Hona In English By Famous Poet Aleem Akhtar. Mohabbat Ka Rag-o-pai Mein Meri Ruh-e-rawan Hona is written by Aleem Akhtar. Read famous Poem Mohabbat Ka Rag-o-pai Mein Meri Ruh-e-rawan Hona for youth and Student by Aleem Akhtar. Free Download Mohabbat Ka Rag-o-pai Mein Meri Ruh-e-rawan Hona in PDF.