Mohabbat Kya Mohabbat Ka Sila Kya

mohabbat kya mohabbat ka sila kya

gham-e-barbaadi-e-jins-e-wafa kya

dil-e-be-muddaa ka muddaa kya

hamara haal hum se puchhna kya

hamein duniya mein apne gham se matlab

zamane ki KHushi se wasta kya

sitam-ha-e-farawan chahta hun

karam ki aarzu kya iltija kya

hum us ke aur us ka gham hamara

is andaz-e-karam ka puchhna kya

raha dil ko na ab zauq-e-sitam kyun

wo hain aamada-e-tark-e-jafa kya

tere gham ke sahaare ji rahe hain

hamari aarzu kya muddaa kya

bahaaron par KHizan sarf-e-asar hai

maal-e-ghunch-o-gul dekhna kya

talluq aur tere gham se talluq

uruj-e-baKHt-e-'aKHtar' puchhna kya

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Kya Mohabbat Ka Sila Kya In English By Famous Poet Aleem Akhtar. Mohabbat Kya Mohabbat Ka Sila Kya is written by Aleem Akhtar. Read famous Poem Mohabbat Kya Mohabbat Ka Sila Kya for youth and Student by Aleem Akhtar. Free Download Mohabbat Kya Mohabbat Ka Sila Kya in PDF.