Sharik-e-haal-e-dil-e-be-qarar Aaj Bhi Hai

sharik-e-haal-e-dil-e-be-qarar aaj bhi hai

kisi ki yaad meri gham-gusar aaj bhi hai

mujhe to kal bhi na tha un par iKHtiyar koi

aur un ko mujh pe wahi iKHtiyar aaj bhi hai

teri taraf se zuhur-e-karam nahin na sahi

tere karam ka mujhe e'tibar aaj bhi hai

wo rasm-e-shauq kahan ab magar ye aalam hai

ki jaise dil ko tera intizar aaj bhi hai

kisi ka naqsh-e-kaf-e-pa to ab kahan lekin

nishan-e-sajda sar-e-rahguzar aaj bhi hai

wo un ka gham ki nigahen badal chuka 'aKHtar'

kamal-e-shauq ka parwardigar aaj bhi hai

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sharik-e-haal-e-dil-e-be-qarar Aaj Bhi Hai In English By Famous Poet Aleem Akhtar. Sharik-e-haal-e-dil-e-be-qarar Aaj Bhi Hai is written by Aleem Akhtar. Read famous Poem Sharik-e-haal-e-dil-e-be-qarar Aaj Bhi Hai for youth and Student by Aleem Akhtar. Free Download Sharik-e-haal-e-dil-e-be-qarar Aaj Bhi Hai in PDF.