Ab Jam Nigahon Ke Nasha Kyun Nahin Dete

ab jam nigahon ke nasha kyun nahin dete

ab bol mohabbat ke maza kyun nahin dete

tum khol ke zulfon ko uDa kyun nahin dete

tum shan ghaTaon ki ghaTa kyun nahin dete

ek ghunT ki ummid samundar se nahin jab

phir aag samundar mein laga kyun nahin dete

hai muntazir-e-hashr bahut der se duniya

ghunghru tere pairon ke sada kyun nahin dete

ye dhup rahegi to ye ruswai karegi

suraj ko gunahgar bujha kyun nahin dete

tum dusre logon pe na rakkha karo ilzam

har baat mein tum meri KHata kyun nahin dete

qatil ka hai kya nam ye sab puchh rahe hain

kya hum bhi hain hamnam bata kyun nahin dete

tum ko mere andaz-e-wafa se hai shikayat

tum mujh ko wafa kar ke dikha kyun nahin dete

jo log 'alim' apni jagah mir bane hain

ashaar ko wo tarz-e-ada kyun nahin dete

(791) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Jam Nigahon Ke Nasha Kyun Nahin Dete In English By Famous Poet Aleem Usmani. Ab Jam Nigahon Ke Nasha Kyun Nahin Dete is written by Aleem Usmani. Read famous Poem Ab Jam Nigahon Ke Nasha Kyun Nahin Dete for youth and Student by Aleem Usmani. Free Download Ab Jam Nigahon Ke Nasha Kyun Nahin Dete in PDF.