Baada-KHane Ki Riwayat Ko Nibhana Chahiye

baada-KHane ki riwayat ko nibhana chahiye

jam agar KHali bhi ho gardish mein aana chahiye

aaj aana hai unhen lekin na aana chahiye

wada-e-farda usulan bhul jaana chahiye

tark karna chahiye hargiz na rasm-e-intizar

muntazir ko umr bhar shamen jalana chahiye

jazb kar lete hain achchhi suraton ko aaine

aainon se kiya tumhein aankhen milana chahiye

mere us ke bich jo haalat ki diwar hai

mujh ko us diwar mein ek dar banana chahiye

phir karam-agin tabassum mein hai poshida sitam

hosh-mandon ko paheli bujh jaana chahiye

gardish-e-haalat se mayus hona kufr hai

umr bhar insan ko qismat aazmana chahiye

meri ghazlen hongi kal na-mahramon ke darmiyan

us ki KHushbu meri ghazlon mein na aana chahiye

hum to qail hi nahin mahdud-e-ulfat ke 'alim'

hum ko ulfat ke liye sara zamana chahiye

(949) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baada-KHane Ki Riwayat Ko Nibhana Chahiye In English By Famous Poet Aleem Usmani. Baada-KHane Ki Riwayat Ko Nibhana Chahiye is written by Aleem Usmani. Read famous Poem Baada-KHane Ki Riwayat Ko Nibhana Chahiye for youth and Student by Aleem Usmani. Free Download Baada-KHane Ki Riwayat Ko Nibhana Chahiye in PDF.