Charagh Sham Se AaKHir Jalaen Kis Ke Liye

charagh sham se aaKHir jalaen kis ke liye

koi na aaega aankhen bichhaen kis ke liye

khincha khincha nazar aata hai hum se har aanchal

sitare toD ke laen to laen kis ke liye

nahin hai koi hamein zindagi ka shauq magar

hum apni jaan se jaen to jaen kis ke liye

sitam uThane ka maqsad bhi koi hota hai

hum aasman se sharten lagaen kis ke liye

KHilaf hum nahin aKHtar-shumariyon ke magar

sawal ye hai ki ninden ganwaen kis ke liye

wafa ek aag hai bachchon ka koi khel nahin

hum apna muft mein daman jalaen kis ke liye

sharab hum pe hamesha se hai haram 'alim'

pata nahin ye uThi hain ghaTaen kis ke liye

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh Sham Se AaKHir Jalaen Kis Ke Liye In English By Famous Poet Aleem Usmani. Charagh Sham Se AaKHir Jalaen Kis Ke Liye is written by Aleem Usmani. Read famous Poem Charagh Sham Se AaKHir Jalaen Kis Ke Liye for youth and Student by Aleem Usmani. Free Download Charagh Sham Se AaKHir Jalaen Kis Ke Liye in PDF.