Waqt-e-aKHir Jo Baalin Par Aajaiyo

waqt-e-aKHir jo baalin par aajaiyo

yaad rakhiyo bahut nekiyan paiyo

mere laeq jo ho mujh ko batlaiyo

jaan hazir hai kuchh aur farmaiyo

ek Dar mujh ko arz-e-tamanna mein hai

tum pasine pasine na ho jaiyo

hum dua amn ki mangte hain magar

aap bhi apni pael ko samjhaiyo

hum ko bhi kuchh lakiron ki pahchan hai

aap apni hatheli idhar laiyo

haal-e-dil hum sunate hain hanste ho tum

hum nahin bolte tum se ab jaiyo

mir ke rang mein likh ke ghazlen 'alim'

dhire dhire na tum mir ban jaiyo

(813) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt-e-aKHir Jo Baalin Par Aajaiyo In English By Famous Poet Aleem Usmani. Waqt-e-aKHir Jo Baalin Par Aajaiyo is written by Aleem Usmani. Read famous Poem Waqt-e-aKHir Jo Baalin Par Aajaiyo for youth and Student by Aleem Usmani. Free Download Waqt-e-aKHir Jo Baalin Par Aajaiyo in PDF.