Main To Ek Lamha-e-parida Raha

main to ek lamha-e-parida raha

jaane kyun wo bahut kashida raha

ru-ba-ru zikr-e-na-shunida raha

uTh gaya to mera qasida raha

main bhi banda hi tha KHuda ki qasam

ye alag hai ki barguzida raha

aur to koi gham na tha us ko

bas meri chah mein tapida raha

shab ki peshani ka main jhumar tha

kya hua gar hawa-guzida raha

mere hisse mein us sahife ka

ek waraq tha wahi darida raha

koi ummid bar na aati thi

zindagi bhar sitam-rasida raha

(861) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main To Ek Lamha-e-parida Raha In English By Famous Poet Ali Abbas Ummeed. Main To Ek Lamha-e-parida Raha is written by Ali Abbas Ummeed. Read famous Poem Main To Ek Lamha-e-parida Raha for youth and Student by Ali Abbas Ummeed. Free Download Main To Ek Lamha-e-parida Raha in PDF.