Ruh Ki Baat Sune Jism Ke Tewar Dekhe

ruh ki baat sune jism ke tewar dekhe

iltija hai ki wo is aag mein jal kar dekhe

tum wo dariya ki chaDhe bhi to ghaDi bhar ke liye

main wo qatra hun jo gir ke bhi samundar dekhe

chubhta mahaul ghuTi ruh gurezan lamhe

dil ki hasrat hai kabhi un se nikal kar dekhe

ek naqshe pe zamana raha hangam-e-visal

shisha-e-jism mein sau tarah ke manzar dekhe

kaise kar le wo yaqin tujh pe fareb-e-gham-e-zat

teri rahon mein jo tashkik ke patthar dekhe

baat ho sirf haqiqat ki to sah le lekin

apne KHwabon ko bikharte koi kyunkar dekhe

hum se mat puchhiye kya nafs pe guzri 'ummid'

ek ek sans se laDte hue lashkar dekhe

(831) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ruh Ki Baat Sune Jism Ke Tewar Dekhe In English By Famous Poet Ali Abbas Ummeed. Ruh Ki Baat Sune Jism Ke Tewar Dekhe is written by Ali Abbas Ummeed. Read famous Poem Ruh Ki Baat Sune Jism Ke Tewar Dekhe for youth and Student by Ali Abbas Ummeed. Free Download Ruh Ki Baat Sune Jism Ke Tewar Dekhe in PDF.