Waraq Hai Mere Sahife Ka Aasman Kya Hai

waraq hai mere sahife ka aasman kya hai

raha ye chand to shayad tumhaara chehra hai

jo puchhta tha meri umr us se kah dena

kisi ke pyar ke mausam ka ek jhonka hai

simaT gaya tha andheron ko dekh kar lekin

sahar ke sath mere raste mein bikhra hai

jise bachata raha tha main aabru ki tarah

wo lamha aaj meri muTThiyon se phisla hai

faza ki shaKH pe lafzon ke phul khilne do

jise sukut samajhte ho zard patta hai

abhi to mere gareban mein hai teri KHushbu

tere badan pe abhi mera nam likkha hai

har ek shaKHs ko ummid bas usi se hai

hamare shahr mein wo ek hi to ruswa hai

(618) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waraq Hai Mere Sahife Ka Aasman Kya Hai In English By Famous Poet Ali Abbas Ummeed. Waraq Hai Mere Sahife Ka Aasman Kya Hai is written by Ali Abbas Ummeed. Read famous Poem Waraq Hai Mere Sahife Ka Aasman Kya Hai for youth and Student by Ali Abbas Ummeed. Free Download Waraq Hai Mere Sahife Ka Aasman Kya Hai in PDF.