KaTi Hai Gham Ki Raat BaDe Ehtiram Se

kaTi hai gham ki raat baDe ehtiram se

aksar bujha diya hai charaghon ko sham se

raushan hai apni bazm aur is ehtimam se

kuchh dil bhi jal raha hai charaghon ke nam se

muddat hui hai KHun-e-tamanna kiye magar

ab tak Tapak raha hai lahu dil ke jam se

subh-e-bahaar hum ko bulati rahi magar

hum khelte rahe kisi zulfon ki sham se

har sans par hai maut ka pahra laga hua

aahista ai hayat guzar is maqam se

kaTi tamam umr fareb-e-bahaar mein

kanTe sameTte rahe phulon ke nam se

ye aur baat hai ki 'ali' hum na sun sake

aawaz us ne di hai hamein har maqam se

(1209) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KaTi Hai Gham Ki Raat BaDe Ehtiram Se In English By Famous Poet Ali Ahmad Jalili. KaTi Hai Gham Ki Raat BaDe Ehtiram Se is written by Ali Ahmad Jalili. Read famous Poem KaTi Hai Gham Ki Raat BaDe Ehtiram Se for youth and Student by Ali Ahmad Jalili. Free Download KaTi Hai Gham Ki Raat BaDe Ehtiram Se in PDF.