Hamari Aankh Ne Dekhe Hain Aise Manzar Bhi

hamari aankh ne dekhe hain aise manzar bhi

gulon ki shaKH se laTke hue the KHanjar bhi

yahan wahan ke andheron ka kya karen matam

ki is se baDh ke andhere hain dil ke andar bhi

abhi se hath mahakne lage hain kyun mere

abhi to dekha nahin hai badan ko chhu kar bhi

kise talash karen ab nagar nagar logo

jawab dete nahin hain bhare hue ghar bhi

hamari tishna-labi par na koi bund giri

ghaTaen ja chukin chaaron taraf baras kar bhi

ye KHun rang-e-chaman mein badal bhi sakta hai

zara Thahar ki badal jaenge ye manzar bhi

'ali' abhi to bahut si hain an-kahi baaten

ki na-tamam ghazal hai tamam ho kar bhi

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamari Aankh Ne Dekhe Hain Aise Manzar Bhi In English By Famous Poet Ali Ahmad Jalili. Hamari Aankh Ne Dekhe Hain Aise Manzar Bhi is written by Ali Ahmad Jalili. Read famous Poem Hamari Aankh Ne Dekhe Hain Aise Manzar Bhi for youth and Student by Ali Ahmad Jalili. Free Download Hamari Aankh Ne Dekhe Hain Aise Manzar Bhi in PDF.