Mustahiq Wo Lazzat-e-gham Ka Nahin

mustahiq wo lazzat-e-gham ka nahin

jis ne KHud apna lahu chakkha nahin

us shajar ke sae mein baiTha hun main

jis ki shaKHon par koi patta nahin

kaun deta hai dar-e-dil par sada

kah do main bhi ab yahan rahta nahin

ban rahe hain sath-e-dil par daere

tum ne to patthar koi phenka nahin

ungliyan kanTon se zaKHmi ho gain

hath phulon tak abhi pahuncha nahin

ek KHushbu sath jo pal bhar rahi

umr bhar pichha mera chhoDa nahin

wo maqam-e-fikr hai mera 'ali'

jis bulandi tak koi pahuncha nahin

(701) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mustahiq Wo Lazzat-e-gham Ka Nahin In English By Famous Poet Ali Ahmad Jalili. Mustahiq Wo Lazzat-e-gham Ka Nahin is written by Ali Ahmad Jalili. Read famous Poem Mustahiq Wo Lazzat-e-gham Ka Nahin for youth and Student by Ali Ahmad Jalili. Free Download Mustahiq Wo Lazzat-e-gham Ka Nahin in PDF.