Fareb-e-nikhat-o-gulzar Se Bachao Mujhe

fareb-e-nikhat-o-gulzar se bachao mujhe

karam karo kisi sahra mein chhoD aao mujhe

wo jins hun main jise bik ke muddaten guzrin

jo ho sake to kahin se KHarid lao mujhe

machal rahi hai nazar chhu ke dekhiye us ko

simaT raha hai badan hath mat lagao mujhe

kisi tarah in andheron ki umr to kam ho

jalane walo zara der tak jalao mujhe

kisi pe apne siwa ab nazar nahin paDti

meri nigah se ai dosto bachao mujhe

ye kis ki lash liye jate ho uThae hue

kahin wo main to nahin hun zara dikhao mujhe

bikhar chuka hun 'ali' main ghazal ke sheron mein

bisat-e-ariz-o-lab se sameT lao mujhe

(693) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fareb-e-nikhat-o-gulzar Se Bachao Mujhe In English By Famous Poet Ali Ahmad Jalili. Fareb-e-nikhat-o-gulzar Se Bachao Mujhe is written by Ali Ahmad Jalili. Read famous Poem Fareb-e-nikhat-o-gulzar Se Bachao Mujhe for youth and Student by Ali Ahmad Jalili. Free Download Fareb-e-nikhat-o-gulzar Se Bachao Mujhe in PDF.