Bosida KHadshat Ka Malba Dur Kahin Dafnao

bosida KHadshat ka malba dur kahin dafnao

jismon ki is shahr-e-panah mein taza shahr basao

sare jism ka resha resha soch ki quwwat pae

phir har sans ka hasil chahe sadiyon par phailao

apna aap nahin hai sab kuchh apne aap se niklo

badbuen phaila deta hai pani ka Thahrao

muddat se kyun chaT rahe ho lafzon ki diwaren

sine mein maKHfi KHakon ki wazeh shakl banao

apna apna kafan utaren lashen uDti jaen

pyasi zaban nikale dharti chaTe apne ghao

(967) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bosida KHadshat Ka Malba Dur Kahin Dafnao In English By Famous Poet Ali Akbar Abbas. Bosida KHadshat Ka Malba Dur Kahin Dafnao is written by Ali Akbar Abbas. Read famous Poem Bosida KHadshat Ka Malba Dur Kahin Dafnao for youth and Student by Ali Akbar Abbas. Free Download Bosida KHadshat Ka Malba Dur Kahin Dafnao in PDF.