Kisi Pe Bar-e-digar Bhi Nigah Kar Na Sake

kisi pe bar-e-digar bhi nigah kar na sake

koi bhi shauq ba-hadd-e-gunah kar na sake

ujaDD-pane mein talab kar gae jawaz-e-KHata

KHizar ke sath bhi hum to nibah kar na sake

dayar-e-hijr basaya hai jo ki barson mein

dam-e-visal ki KHatir tabah kar na sake

aman talab na hue dasht-e-be-panah mein hum

sawad-e-jaan bhi magar harf-e-rah kar na sake

safar-maab yahi bahr-o-bar hai phir bhi hum

paron ko apne kusha KHwah-maKHwah kar na sake

(826) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Pe Bar-e-digar Bhi Nigah Kar Na Sake In English By Famous Poet Ali Akbar Abbas. Kisi Pe Bar-e-digar Bhi Nigah Kar Na Sake is written by Ali Akbar Abbas. Read famous Poem Kisi Pe Bar-e-digar Bhi Nigah Kar Na Sake for youth and Student by Ali Akbar Abbas. Free Download Kisi Pe Bar-e-digar Bhi Nigah Kar Na Sake in PDF.