Pani Mein Bhi Pyas Ka Itna Zahr Mila Hai

pani mein bhi pyas ka itna zahr mila hai

honTon par aate har qatra sukh raha hai

andhe ho kar baadal bhage phirte hain

gate gate ek parinda aag hua hai

phul aur phal to taza konpal par aate hain

pila patta is wahshat mein TuT raha hai

gardish gardish chalne se hi kaT paega

chaaron jaanib ek safar ka jal bichha hai

usi peD ke niche dafn bhi hona hoga

jis ki jaD par main ne apna nam likha hai

(993) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pani Mein Bhi Pyas Ka Itna Zahr Mila Hai In English By Famous Poet Ali Akbar Abbas. Pani Mein Bhi Pyas Ka Itna Zahr Mila Hai is written by Ali Akbar Abbas. Read famous Poem Pani Mein Bhi Pyas Ka Itna Zahr Mila Hai for youth and Student by Ali Akbar Abbas. Free Download Pani Mein Bhi Pyas Ka Itna Zahr Mila Hai in PDF.