Sara Din Be-kar BaiThe Sham Ko Ghar Aa Gae

sara din be-kar baiThe sham ko ghar aa gae

KHwab mein chalne lage diwar se Takra gae

main bhari saDkon pe bhi be-chap chalne lag gaya

ghar mein soe log mere zehn par yun chha gae

mera beTa mere dushman ki hi taswiren banae

mere abba us ki copy dekh kar ghabra gae

jab bhi suraj Dubte dekha main KHush hone laga

par kai manhus chamgadaD mujhe larza gae

aasman ki samt dekha baadalon ke waste

dekhte hi dekhte chilon ke dil manDla gae

(880) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sara Din Be-kar BaiThe Sham Ko Ghar Aa Gae In English By Famous Poet Ali Akbar Abbas. Sara Din Be-kar BaiThe Sham Ko Ghar Aa Gae is written by Ali Akbar Abbas. Read famous Poem Sara Din Be-kar BaiThe Sham Ko Ghar Aa Gae for youth and Student by Ali Akbar Abbas. Free Download Sara Din Be-kar BaiThe Sham Ko Ghar Aa Gae in PDF.