Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f946bf6565232792fb1313c4af4c042e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Pesh Har Ahd Ko Ek Tegh Ka Imkan Kyun Hai - Ali Akbar Abbas Poetry In English - Darsaal

Pesh Har Ahd Ko Ek Tegh Ka Imkan Kyun Hai

pesh har ahd ko ek tegh ka imkan kyun hai

har naya daur nae KHauf mein ghaltan kyun hai

shahr ke shahr hi behosh paDe puchhte hain

zindagi apne amal-daron se nalan kyun hai

aaina aks moattal to nahin karta kabhi

itna be-ab magar aaina-e-jaan kyun hai

phir se matlub-e-KHalaiq hai gawahi koi

bar-sar-e-koh-e-siyah shola-e-larzan kyun hai

ye amal hai KHas-o-KHashak ki chhidrai ka

rang-e-rangin-e-gul-o-lala pareshan kyun hai

(1192) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pesh Har Ahd Ko Ek Tegh Ka Imkan Kyun Hai In English By Famous Poet Ali Akbar Abbas. Pesh Har Ahd Ko Ek Tegh Ka Imkan Kyun Hai is written by Ali Akbar Abbas. Read famous Poem Pesh Har Ahd Ko Ek Tegh Ka Imkan Kyun Hai for youth and Student by Ali Akbar Abbas. Free Download Pesh Har Ahd Ko Ek Tegh Ka Imkan Kyun Hai in PDF.