UThenge Maut Se Pahle

uThenge maut se pahle usi safar ke liye

jise hayat ke sadmon ne multawi na kiya

wo hum ki phul ki lau ko fareb dete the

qarib-e-sham sitaron ki rahguzar pe chale

wo hum ki taza jahan ke naqib-e-zan the nae

saba ki chaal se aage hamari chaal rahi

magar guman ke qadmon ne us ko tai na kiya

wahi safar jo hamare aur us ke bich raha

jise hayat ke sadmon ne multawi na kiya

uTha ke hath mein neze pila ke aab-e-sarab

kamin-gah-e-hawas se nishane dil ke liye

tamam samt se aai shahabiyon ki sipah

hamari zat ko ghera misal-e-lashkar-e-sham

hazar bar ulajh ke phaTa libas-e-yaqin

magar Tali na kabhi us mubahise se zaban

jo sakinan-e-zamin aur hamare bich hua

rah-e-waqar pe baiThe the aaine le kar

jinhen sabaat pe koi bhi iKHtiyar na tha

thama ke hath mein gham ke buraq-e-dil ki inan

nikal gae na ruke ruh ki hadon se idhar

falak ke kohna dariche salam karte rahe

magar charagh ka saya abhi wajud mein hai

zarur apne hisaron mein lega nur-e-dimagh

sahar ke waqt baDhega ghunudgi ka asar

daraaz hoga wahin dard ke shabab ka qad

mila ghubar ki surat jahan nasib ka phal

jahan shikar hua hai meri zaban ka hunar

wahin se DhunD ke laenge aadmi ki KHabar

uThenge maut se pahle usi safar ke liye

(1075) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

UThenge Maut Se Pahle In English By Famous Poet Ali Akbar Natiq. UThenge Maut Se Pahle is written by Ali Akbar Natiq. Read famous Poem UThenge Maut Se Pahle for youth and Student by Ali Akbar Natiq. Free Download UThenge Maut Se Pahle in PDF.