Main Kab Se Mara Apne Andar PaDa Hun

main kab se mara apne andar paDa hun

main murda hun murde ke upar paDa hun

main duniya badalne ko nikla tha ghar se

so thak haar ke ghar mein aa kar paDa hun

KHuda hun main gumbad se laTka hua hun

main bhagwan mandir ke bahar paDa hun

tere panw ki dhul hi chaTni hai

tere dar ka ban ke main patthar paDa hun

qadam dhar meri sukhi is sar-zamin pe

teri chah mein kab se banjar paDa hun

sawera hua makkhiyan aa gai hain

main jaga hua chhat pe kyun kar paDa hun

(1025) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Kab Se Mara Apne Andar PaDa Hun In English By Famous Poet Ali Imran. Main Kab Se Mara Apne Andar PaDa Hun is written by Ali Imran. Read famous Poem Main Kab Se Mara Apne Andar PaDa Hun for youth and Student by Ali Imran. Free Download Main Kab Se Mara Apne Andar PaDa Hun in PDF.