Gebi

zindagi myth nahin

jo purane maani ki

mayya se lipTi rahe

jaise baby ki taswir ke

caption mein bataya gaya hai

use apni ma+ma ne

ek aur laDki ke egg se liya

tin million mein sauda hua

bap us ka

balDi bahut lalchi tha

magar KHub-ru naujawan mashriqi

kali aankhon ke ejaz ne

dam dugna kiya

mezban

us ki man ek kirae ki aurat

ne noma ke nau lakh mange

ada kar diye

zindagi myth nahin hai

purane maani ki mayya nahin hai

ye hawwa nahin hai

ye lazbai culture ki baby hai

gebi hai

jis mein

KHuda aadmi bap aur man

ki myth ke maani ki mayya nahin hai

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gebi In English By Famous Poet Ali Mohammad Farshi. Gebi is written by Ali Mohammad Farshi. Read famous Poem Gebi for youth and Student by Ali Mohammad Farshi. Free Download Gebi in PDF.