Ek Turfa Tamasha Sar-e-bazar Banega

ek turfa tamasha sar-e-bazar banega

jo shaKHs bhi aaina-e-kirdar banega

ye baat bhi tai ho gai dahshat-zadagan mein

jo sang-ba-dast aaega sardar banega

rangon se na rakhiye kisi surat ki tawaqqo

wo KHun ka qatra hai jo shahkar banega

main us ke panapne ki dua mang raha hun

bachche ke ye tewar hain ki fankar banega

phir laKHt-e-jigar koela le aaya kahin se

ab dekhiye kya kya sar-e-diwar banega

yaksui se jab us ki taraf dekhoge 'ashar'

kuchh der mein mahtab ruKH-e-yar banega

(1258) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Turfa Tamasha Sar-e-bazar Banega In English By Famous Poet Ali Muthar Ashar. Ek Turfa Tamasha Sar-e-bazar Banega is written by Ali Muthar Ashar. Read famous Poem Ek Turfa Tamasha Sar-e-bazar Banega for youth and Student by Ali Muthar Ashar. Free Download Ek Turfa Tamasha Sar-e-bazar Banega in PDF.