Dar-e-shahi Se Dar-e-gadai Pe Aa Gaya Hun

dar-e-shahi se dar-e-gadai pe aa gaya hun

main narm bistar se chaarpai pe aa gaya hun

badan ki sari tamazaten mand paD rahi hain

wo bebasi hai ki parsai pe aa gaya hun

nahin hai chehre ka haal paDhne ki KHu kisi mein

sukut toDa hai lab-kushai pe aa gaya hun

husul-e-ganj-e-ata-e-ghaibi ke waste ab

sifat-e-rabbi ki jubba-sai pe aa gaya hun

utar phenka musalahat ka libas main ne

sukut toDa hai lab-kushai pe aa gaya hun

futur mujh mein nahin hai koi sabab to hoga

duaen deta hua duhai pe aa gaya hun

'ali' mein sabze ko raundne ki saza ke bais

barahna-sar se barahna-pai pe aa gaya hun

(890) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dar-e-shahi Se Dar-e-gadai Pe Aa Gaya Hun In English By Famous Poet Ali Muzammil. Dar-e-shahi Se Dar-e-gadai Pe Aa Gaya Hun is written by Ali Muzammil. Read famous Poem Dar-e-shahi Se Dar-e-gadai Pe Aa Gaya Hun for youth and Student by Ali Muzammil. Free Download Dar-e-shahi Se Dar-e-gadai Pe Aa Gaya Hun in PDF.