KHasara-dar-KHasara Kar Liya Jae

KHasara-dar-KHasara kar liya jae

junun ko istiara kar liya jae

ye nuqta bhi qarin-e-maslahat hai

adawat ko gawara kar liya jae

darun-e-dil yam-e-afsurdagi hai

koi tinka sahaara kar liya jae

suKHan-hae bara-e-guftani se

ghazal ko shah-para kar liya jae

sar-e-ab-e-rawan sahra bichha kar

sarabon se kinara kar liya jae

ziya aankhon ki putli mein samo kar

andhere ka nazara kar liya jae

bhala kya khel hai kar-e-mohabbat

jo danista dobara kar liya jae

ye dil mein hai ki sare ashk pi kar

badan ko miTTi gara kar kiya jae

basani hai koi basti ki sahra

'ali' ab istiKHara kar liya jae

(764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHasara-dar-KHasara Kar Liya Jae In English By Famous Poet Ali Muzammil. KHasara-dar-KHasara Kar Liya Jae is written by Ali Muzammil. Read famous Poem KHasara-dar-KHasara Kar Liya Jae for youth and Student by Ali Muzammil. Free Download KHasara-dar-KHasara Kar Liya Jae in PDF.