Na Mah-ru Na Kisi Mahtab Se Hui Thi

na mah-ru na kisi mahtab se hui thi

hamein to pahli mohabbat kitab se hui thi

fareb-e-kul hai zamin aur namuna-e-azdad

ki ibtida hi gunah-o-sawab se hui thi

bas ek shab ki kahani nahin ki bhul saken

har ek shab hi mumasil itab se hui thi

wajud-e-chashm tha Thahre samundaron ki misal

numud-e-haalat-e-dil ek habab se hui thi

jaza-e-ishq-e-haqiqi rahi talab apni

KHata-e-ishq-e-majazi janab se hui thi

usi se tira-shabi mein hai manzaron ka wajud

wo raushni jo mashiyyat ke bab se hui thi

wahi to jehd-e-musalsal ki ibtida thi 'ali'

jab aashnai qadam ki rikab se hui thi

(685) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Mah-ru Na Kisi Mahtab Se Hui Thi In English By Famous Poet Ali Muzammil. Na Mah-ru Na Kisi Mahtab Se Hui Thi is written by Ali Muzammil. Read famous Poem Na Mah-ru Na Kisi Mahtab Se Hui Thi for youth and Student by Ali Muzammil. Free Download Na Mah-ru Na Kisi Mahtab Se Hui Thi in PDF.