Shahr-e-dil Kunj-e-bayaban Nahin Tha Pahle

shahr-e-dil kunj-e-bayaban nahin tha pahle

main kabhi itna pareshan nahin tha pahle

baen pahlu mein jo ek sang paDa hai sakit

ye dhaDakta bhi tha be-jaan nahin tha pahle

shahryaron se marasim the bahut hi gahre

tira-baKHton se bhi anjaan nahin tha pahle

lafz ruThe hue rahte the qalam se aksar

jin se tajdid ka imkan nahin tha pahle

jab safar kaT liya hai to mila hai sab kuchh

sath mere koi saman nahin tha pahle

ab bhi be-nam basar hote hain auqat mere

dil mein tauqir ka arman nahin tha pahle

aaj chadar ke barabar hai mere qad ki bisat

main kisi shahr ka sultan nahin tha pahle

khae baiTha hai zamane se talluq ka fareb

tu 'ali' itna to nadan nahin tha pahle

(652) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr-e-dil Kunj-e-bayaban Nahin Tha Pahle In English By Famous Poet Ali Muzammil. Shahr-e-dil Kunj-e-bayaban Nahin Tha Pahle is written by Ali Muzammil. Read famous Poem Shahr-e-dil Kunj-e-bayaban Nahin Tha Pahle for youth and Student by Ali Muzammil. Free Download Shahr-e-dil Kunj-e-bayaban Nahin Tha Pahle in PDF.