Tasawwur Munkashif-az-baam Ho Jaane Se Darta Hun

tasawwur munkashif-az-baam ho jaane se Darta hun

ata-e-kashf ke itmam ho jaane se Darta hun

zamin-o-arsh ke baham talluq ke tanazur mein

zamin-o-arsh ka idgham ho jaane se Darta hun

kabhi sab kar guzarne ka junun bechain rakhta hai

kabhi yun bhi hua sab kaam ho jaane se Darta hun

mohabbat irtibaat-e-qalb se mashrut hoti hai

yaqin-o-rabt ke ibham ho jaane se Darta hun

kahan mujh ko mayassar misr ka bazar aaega

KHud apni zat mein nilam ho jaane se Darta hun

'ali' bahr-e-mohabbat ka shanawar hun KHuda shahid

wafa ke nam pe ilzam ho jaane se Darta hun

(722) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tasawwur Munkashif-az-baam Ho Jaane Se Darta Hun In English By Famous Poet Ali Muzammil. Tasawwur Munkashif-az-baam Ho Jaane Se Darta Hun is written by Ali Muzammil. Read famous Poem Tasawwur Munkashif-az-baam Ho Jaane Se Darta Hun for youth and Student by Ali Muzammil. Free Download Tasawwur Munkashif-az-baam Ho Jaane Se Darta Hun in PDF.