KHud-saKHta Dukh

suraj har roz

meri aankhon mein bhari hui

aur shayad mari hui nind ko dekh kar

apne din ka aaghaz karta hai

main

ghar se daftar jati hui saDak par

rengta hua

aane wali naslon par ehsan karta hun

main daftar apni marzi se jata hun

lekin daftar mein meri marzi ka kaam nahin hota

main kaghaz par KHwab aur dukh ek sath likh kar

ghar lauTta hun

ghar ki be-tartibi aur unghti hui diwaren

mera istiqbaal karti hain

main bistar par sone ke liye lauTta hun

aur jagta rahta hun

wo

Diary mein KHud-saKHta dukh likhti hai

aur sukun se so jati hai

(743) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud-saKHta Dukh In English By Famous Poet Ali Sahil . KHud-saKHta Dukh is written by Ali Sahil . Read famous Poem KHud-saKHta Dukh for youth and Student by Ali Sahil . Free Download KHud-saKHta Dukh in PDF.