Aae Hum Ghaalib-o-iqbaal Ke Naghmat Ke Baad

aae hum 'ghaalib'-o-'iqbaal' ke naghmat ke baad

'mushaf'-e-ishq-o-junun husn ki aayat ke baad

ai watan KHak-e-watan wo bhi tujhe de denge

bach gaya hai jo lahu ab ke fasadat ke baad

nar-e-namrud yahi aur yahi gulzar-e-KHalil

koi aatish nahin aatish-kada-e-zat ke baad

ram-o-gautam ki zamin hurmat-e-insan ki amin

banjh ho jaegi kya KHun ki barsat ke baad

tishnagi hai ki bujhae nahin bujhti 'sardar'

baDh gai kausar-o-tasnim ki saughat ke baad

(1083) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aae Hum Ghaalib-o-iqbaal Ke Naghmat Ke Baad In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Aae Hum Ghaalib-o-iqbaal Ke Naghmat Ke Baad is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Aae Hum Ghaalib-o-iqbaal Ke Naghmat Ke Baad for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Aae Hum Ghaalib-o-iqbaal Ke Naghmat Ke Baad in PDF.