Aandhiyan Chalti Rahen Aflak Tharraate Rahe

aandhiyan chalti rahen aflak tharraate rahe

apna parcham hum bhi tufanon mein lahraate rahe

kaT kar raaton ke parbat asr-e-nau ke tesha-zan

ju-e-shir-o-chashma-e-nur-e-sahar late rahe

karwan-e-himmat-e-jamhur baDhta hi gaya

shahr-yar-o-hukmaran aate rahe jate rahe

rahbaron ki bhul thi ya rahbari ka muddaa

qafilon ko manzilon ke pas bhaTkate rahe

jis qadar baDhta gaya zalim hawaon ka KHarosh

us ke kakul aur bhi aariz pe lahraate rahe

phansiyan ugti rahin zindan ubharte hi rahe

chand diwane junun ke zamzame gate rahe

(1015) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aandhiyan Chalti Rahen Aflak Tharraate Rahe In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Aandhiyan Chalti Rahen Aflak Tharraate Rahe is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Aandhiyan Chalti Rahen Aflak Tharraate Rahe for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Aandhiyan Chalti Rahen Aflak Tharraate Rahe in PDF.