Aqide Bujh Rahe Hain Sham-e-jaan Ghul Hoti Jati Hai

aqide bujh rahe hain sham-e-jaan ghul hoti jati hai

magar zauq-e-junun ki shoala-samani nahin jati

KHuda malum kis kis ke lahu ki lala-kari hai

zamin-e-ku-e-jaanan aaj pahchani nahin jati

agar yun hai to kyun hai yun nahin to kyun nahin aaKHir

yaqin mohkam hai lekin zid ki hairani nahin jati

lahu jitna tha sara sarf-e-maqtal ho gaya lekin

shahidan-e-wafa ke ruKH ki tabani nahin jati

pareshan-rozgar aashufta-haalan ka muqaddar hai

ki us zulf-e-pareshan ki pareshani nahin jati

har ek shai aur mahngi aur mahngi hoti jati hai

bas ek KHun-e-bashar hai jis ki arzani nahin jati

ye naghma naghma-e-bedari-e-jamhur-e-alam hai

wo shamshir-e-nawa jis ki daraKHshani nahin jati

nae KHwabon ke dil mein shoala-e-KHurshid-e-mahshar hai

zamir-e-hazrat-e-insan ki sultani nahin jati

lagate hain labon par mohr arbab-e-zaban-bandi

ali-'sardar' ki shan-e-ghazal-KHwani nahin jati

(854) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aqide Bujh Rahe Hain Sham-e-jaan Ghul Hoti Jati Hai In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Aqide Bujh Rahe Hain Sham-e-jaan Ghul Hoti Jati Hai is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Aqide Bujh Rahe Hain Sham-e-jaan Ghul Hoti Jati Hai for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Aqide Bujh Rahe Hain Sham-e-jaan Ghul Hoti Jati Hai in PDF.