Chashma-e-bad-mast Ko Phir Shewa-e-dil-dari De

chashma-e-bad-mast ko phir shewa-e-dil-dari de

dil-e-awara ko paigham-e-giraftari de

ishq hai sada-o-masum use apni tarah

jauhar-e-tegh-e-ada KHanjar-e-ayyari de

jo dukhe dil hain unhen daulat-e-darman ho ata

dard ke hath mein mat kasa-e-nadari de

kitni farsuda hai ye jurm-o-saza ki duniya

sar-kashi dil ko naya zauq-e-gunahgari de

shaKH-e-gul kab se hai sine mein chhupae hue gul

dekhen kab baad-e-saba hukm-e-chaman-kari de

ai mere shoala-e-dil shoala-e-sher-o-danish

raat aaKHir hai use jashn-e-sharar-bari de

chaman afsurda hai ai jaan-e-chaman ruh-e-bahaar

gul ko bhi apne tabassum ki fusun-kari de

(905) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chashma-e-bad-mast Ko Phir Shewa-e-dil-dari De In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Chashma-e-bad-mast Ko Phir Shewa-e-dil-dari De is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Chashma-e-bad-mast Ko Phir Shewa-e-dil-dari De for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Chashma-e-bad-mast Ko Phir Shewa-e-dil-dari De in PDF.