Dil Ki Aag Jawani Ke RuKHsaron Ko Dahkae Hai

dil ki aag jawani ke ruKHsaron ko dahkae hai

bahe pasina mukhDe par ya suraj pighla jae hai

man ek nanha sa baalak hai humak humak rah jae hai

dur se mukh ka chand dikha kar kaun use lalchae hai

mai hai teri aankhon mein aur mujh pe nasha sa tari hai

nind hai teri palkon mein aur KHwab mujhe dikhlae hai

tere qamat ki larzish se mauj-e-mai mein larzish hai

teri nigah ki masti hi paimanon ko chhalkae hai

tera dard salamat hai to marne ki ummid nahin

lakh dukhi ho ye duniya rahne ki jagah ban jae hai

(755) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ki Aag Jawani Ke RuKHsaron Ko Dahkae Hai In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Dil Ki Aag Jawani Ke RuKHsaron Ko Dahkae Hai is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Dil Ki Aag Jawani Ke RuKHsaron Ko Dahkae Hai for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Dil Ki Aag Jawani Ke RuKHsaron Ko Dahkae Hai in PDF.