Ek Subh Hai Jo Hui Nahin Hai

ek subh hai jo hui nahin hai

ek raat hai jo kaTi nahin hai

maqtulon ka qaht paD na jae

qatil ki kahin kami nahin hai

viranon se aa rahi hai aawaz

taKHliq-e-junun ruki nahin hai

hai aur hi karobar-e-masti

ji lena to zindagi nahin hai

saqi se jo jam le na baDh kar

wo tishnagi tishnagi nahin hai

aashiq-kushi o fareb-kari

ye shewa-e-dilbari nahin hai

bhukon ki nigah mein hai bijli

ye barq abhi giri nahin hai

dil mein jo jalai thi kisi ne

wo sham-e-tarab bujhi nahin hai

ek dhup si hai jo zer-e-mizhgan

wo aankh abhi uThi nahin hai

hain kaam bahut abhi ki duniya

shaista-e-admi nahin hai

har rang ke aa chuke hain firaun

lekin ye jabin jhuki nahin hai

(1077) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Subh Hai Jo Hui Nahin Hai In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Ek Subh Hai Jo Hui Nahin Hai is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Ek Subh Hai Jo Hui Nahin Hai for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Ek Subh Hai Jo Hui Nahin Hai in PDF.