Farogh-e-dida-o-dil Lala-e-sahar Ki Tarah

farogh-e-dida-o-dil lala-e-sahar ki tarah

ujala ban ke raho sham-e-rahguzar ki tarah

payambaron ki tarah se jiyo zamane mein

payam-e-shauq bano daulat-e-hunar ki tarah

ye zindagi bhi koi zindagi hai ham-nafaso

sitara ban ke jale bujh gae sharar ki tarah

Dara saki na mujhe tirgi zamane ki

andheri raat se guzra hun main qamar ki tarah

samundaron ke talatum ne mujh ko pala hai

chamak raha hun isi waste guhar ki tarah

tamam koh-o-til-o-bahr-o-bar hain zer-e-nagin

khula hua hun main shahin ke baal-o-par ki tarah

(738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Farogh-e-dida-o-dil Lala-e-sahar Ki Tarah In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Farogh-e-dida-o-dil Lala-e-sahar Ki Tarah is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Farogh-e-dida-o-dil Lala-e-sahar Ki Tarah for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Farogh-e-dida-o-dil Lala-e-sahar Ki Tarah in PDF.