Kabhi KHandan Kabhi Giryan Kabhi Raqsa Chaliye

kabhi KHandan kabhi giryan kabhi raqsa chaliye

dur tak sath tere umr-e-gurezan chaliye

rasm-e-derina-e-alam ko badalne ke liye

rasm-e-derina-e-alam se gurezan chaliye

aasmanon se barasta hai andhera kaisa

apni palkon pe liye jashn-e-charaghan chaliye

shola-e-jaan ko hawa deti hai KHud baad-e-sumum

shola-e-jaan ki tarah chaak-gareban chaliye

aql ke nur se dil kijiye apna raushan

dil ki rahon se su-e-manzil-e-insan chaliye

gham nai subh ke tare ka bahut hai lekin

le ke ab parcham-e-KHurshid-e-daraKHshan chaliye

sar-ba-kaf chalne ki aadat mein na farq aa jae

kucha-e-dar mein sar-mast-o-ghazal-KHwan chaliye

(767) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi KHandan Kabhi Giryan Kabhi Raqsa Chaliye In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Kabhi KHandan Kabhi Giryan Kabhi Raqsa Chaliye is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Kabhi KHandan Kabhi Giryan Kabhi Raqsa Chaliye for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Kabhi KHandan Kabhi Giryan Kabhi Raqsa Chaliye in PDF.