Khule Hain Mashriq-o-maghrib Ki God Mein Gulzar

khule hain mashriq-o-maghrib ki god mein gulzar

magar KHizan ko mayassar nahin yaqin-e-bahaar

KHabar nahin hai bamon ke banane walon ko

tamiz ho to mah-o-mehr-o-kahkashan hain shikar

usi se tegh-e-nigah aab-dar hoti hai

tujhe bataun baDi shai hai jurat-e-inkar

kiye hain shauq ne paida hazar virane

ek aarzu ne basae hain lakh shahr-e-dayar

nashat-e-subh-e-bahaaran tujhe nasib nahin

tere nigah mein hai biti hui shabon ka KHumar

faroKHt hoti hai insaniyat si jins-e-giran

jahan ko phunk na degi ye garmi-e-bazar

yahi hai zinat-o-araish urus-e-suKHan

magar fareb bhi deti hai shoKHi-e-guftar

(886) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khule Hain Mashriq-o-maghrib Ki God Mein Gulzar In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Khule Hain Mashriq-o-maghrib Ki God Mein Gulzar is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Khule Hain Mashriq-o-maghrib Ki God Mein Gulzar for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Khule Hain Mashriq-o-maghrib Ki God Mein Gulzar in PDF.