Kitni Aashaon Ki Lashen Sukhen Dil Ke Aangan Mein

kitni aashaon ki lashen sukhen dil ke aangan mein

kitne suraj Dub gae hain chehron ke pile-pan mein

bachchon ke miThe honTon par pyas ki sukhi ret jami

dudh ki dhaaren gae ke than se gir gain nagon ke phan mein

registanon mein jalte hain paDe hue sau naqsh-e-qadam par

aaj KHiraman koi nahin hai ummidon ke gulshan mein

chakna-chur hua KHwabon ka dilkash dilchasp aaina

TeDhi tirchhi taswiren hain TuTe-phuTe darpan mein

pa-e-junun mein paDi hui hain hirs-o-hawa ki zanjiren

qaid hai ab tak hath sahar ka tariki ke kangan mein

aankhon ki kuchh nauras kaliyan nim-shagufta ghuncha-e-lab

kaise kaise phul bhare hain gulchinon ke daman mein

dast-e-ghaib ki tarah chhupa hai zulm ka hath sitam ka war

KHushk lahu ki barish dekhi hum ne kucha-e-barzan mein

(884) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitni Aashaon Ki Lashen Sukhen Dil Ke Aangan Mein In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Kitni Aashaon Ki Lashen Sukhen Dil Ke Aangan Mein is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Kitni Aashaon Ki Lashen Sukhen Dil Ke Aangan Mein for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Kitni Aashaon Ki Lashen Sukhen Dil Ke Aangan Mein in PDF.