Laghzish-e-gam Liye Laghzish-e-mastana Liye

laghzish-e-gam liye laghzish-e-mastana liye

aae hum bazm mein phir jurat-e-rindana liye

ishq pahlu mein hai phir jalwa-e-jaanana liye

zulf ek hath mein ek hath mein paimana liye

yaad karta tha hamein saqi-o-mina ka hujum

uTh gae the jo kabhi raunaq-e-mai-KHana liye

wasl ki subh shab-e-hijr ke baad aai hai

aaftab-e-ruKH-e-mahbub ka nazrana liye

asr-e-hazir ko mubarak ho naya daur-e-awam

apni Thokar mein sar-e-shaukat-e-shahana liye

(747) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Laghzish-e-gam Liye Laghzish-e-mastana Liye In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Laghzish-e-gam Liye Laghzish-e-mastana Liye is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Laghzish-e-gam Liye Laghzish-e-mastana Liye for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Laghzish-e-gam Liye Laghzish-e-mastana Liye in PDF.